Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De
Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De
Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De–
Tum ho ke to dunyaa se bay-zaar kabhi daikho
Aankho’n mai’n kabhi utro, uss paar kabhi daikho
Aansoo ki haqeeqat to, hai zakhm se paiwastaa
Garr rooh pe tum khaa ker, ik baar kabhi daikho
Ho aankh jaha’n dard to aansoo ho kahaani
Aisee bhi koee dunyaa ik baar kabhi daikho
Dil toot na jaay gaa, garr tum jo kabhi khud ko
Aaeena-e-dunyaa mai’n bay-kaar kabhi daikho
Daikho gay kabhi tum bhi, ik doobti nayya ko
Saahil pe kharay ho ker ik baar kabhi daikho
Woh mujh se ye kehtay hai’n, chhoro ye ajab baatai’n
Jazbaat ki lughat mai’n, tum pyaar kabhi daikho
Parhtay jo meri aankhain, to jaan ye laitay woh
Kuchh log nahi’n kertay izhaar kabhi daikho
Auro’n ki tarah tum bhi, boli naa lagaa daina
Baahar jo mere ghar ke khareedaar kabhi dakho
Iss shor mai’n tum meri aawaaz dabaa dainaa
Garr log samaa’at se bay-zaar kabhi daikho
Bojhal jo meri aankhain daikhai’n to wo kehtay hain
Tum so ke to abb “VIRGO” ik baar kabhi daikho
ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty
woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty
khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty
yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty
tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty
yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty
har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty
ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
Jin rahOn par chaltay hain, wohi rahein badal jati hain
Karnay ko kia nahi kartay log mOhabbat main
Sirf hamarey liye hi Q? Rasmein badal jati hain
Wo aisa hai k us ka nam sunnay k tasawwur se hi
Humari tamaam tar sa?atein badal jati hain
Sochti hoon jane kaise? keh paun gi main us se
Milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
Chahe manzil dushwar ho Or door bhi
Humsafar us jaisa ho to musaftein badal jati hain
U to raat ka aalam haseen hota hai, madhosh bhi
Magar chand dekhUn to meri raatein badal jati hain
Mat chaho,k mujhay aadat nahi itna chahne walOn ki
Ye na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain