September 2007
Monthly Archive
Thu 13 Sep 2007
Posted by Rahul under
SMS Shayari Comments Off
1) Suna hai asar hota hai baaton me,
tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.
humse ruth kar jaoge kahan,
tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.
2) Jab humne unse pucha sapna kya hota hai to unhone kaha band aankho mein jo apna hota hai khuli aankhon mein wahi sapna hota hai…..!!!!
3) Muddat se door the hum tum,
ek zamane ke baad milna acha laga.
sagar se gehra laga aapka pyar,
tairna to aata tha par doobna acha laga….
4) Sajde dil ke tarane bahut hai zindigi jeene ke bahane bahut hai
aap sada muskurate rehna apki muskurahat ke deewane bahut hai
5) Jinki yaad mei hum dewane ho gaye
woh humhi se begane ho gaye
shayad unhe talash hai naye dosto ki
kyoki unki nazar mei ab hum purane hogaye
6) Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena
jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena
zinda rahe to milenge dost
nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!
7) Har daag, daag nahi hota…
har dost wafadar nahi hota…
yeh to dil milne ki baat hai…
varna 7 feero mei…
pyar nahi hota!
8) Tamanao mei bhi tumhe yaad karenge…
teri har baat par etbar karenge…
tujhe aane ko to nahi kahenge…
par fir bhi tera intezar karenge…
9) Bagon mein phool khilte rehenge…
Raat mein diye jalte rehenge
dua hai khuda se…
Aap khush rehein hamesha,baki,
hum to hamesha…
tang karte rahenge…
10) Dil se tera khayal na jaye to kya karu?
tu hi bata teri yaad aaye to kya karu?
hasrat hai ki ek nazar tujhe dubara dekh lu
kismat woh lamha na laye to kya karu?
11) Kya kahu tumhe?
Khwab kahu to bikhar jaoge!
dil kahu to tut jaoge!
lo, tumhara naam zindigi rakh deti hu…
to maut se pehle hamara saath na chod paoge…!
12) Khuda se koi baat anjan nahi hoti!
insaan ki bndagi beimaan nahi hoti!
kabhi manga hoga humne ek pyara sa dost…
varna yuhi apki…
humse pehchan nahi hoti!!!
13) Kuch bikhre sapno se ankh mei namee hai…
ek chota sa aasman aur umeedo ki zameen hai…
yu to bahut kuch hai zindagi mei…
sirf jo dur hai…
unki kami hai..
14) Kisi ki dhadkan ke piche koi baat hoti hai…
har dard ke piche kisiki yaad hoti hai…
aap ko pata na hoga…
apki har khushi ke peche hamari faryaad hoti hai!
15) Ho sakta hai ki hum saath reh na paye…
ek dusre se kuch keh na paye…
itni nazdikyan mat badaiye humse…
ki hum…
duriyon ko sehna paye…!
16) Lub khamosh ho jate hai jab tum samne ate ho!
dil dhadkta hai jab nigahein milate ho!
saans ruk jati hai jab muskurate ho!
Heart patient hun
itna kyo darate ho?
17) Ishq sabhi ko jena sikha deta hai…
wafa ke naam par marna sikha deta hai…
ishq nahi kiya to karke dekho…
zalim har dard sehna sikha deta hai…!
18) Apke daman mei khushi kabhi kam naho…
ishwar kare ki apko kabhi gum naho…
denewala har khushi de apko…
chahe us khushi mei hum ho na ho…!
19) Mere aane ki aahat pe shama jalai hogi…
kabhi judai ke gum se aakh bhar aai hogi…
fikar na kar mere yaar…
us rabne milne ki koi to sham banai hogi…!
20) Har tarah k shikve ko seh lete hai…
zindagi ko yuhi jee lete hai…
mila lete hai hath jinse dosti ka…
un hathon se fir zeher bhi pe lete hai…!
21) Humne bhi chaha har manjil karib ho,
har waqt aapka saath naseeb ho,
par wahan khuda bhi kya kare,
jahan insaan khud badnseeb ho.
22) waqt tera gulam hoga,
har pal pe tera hi naam hoga,
jara mudke dekh E mere dost,
har kadam par mera saath hoga.
23) dosti ki raho mai kabhi akelapan na mile,
aai dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile,
dua karte hai hum khuda se,
tuhme jo bhi dost mile hUM se kam na mile.
24) Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi,
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi…
Aap Jese Dost Jabse Mile,
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi…..
25) Zamane se kab ke hum gujar gaye hote,
thokar na lagi hoti bach gaye hote,
bandhey the to bas tere dosti ke dhage mai,
warna kabke motiyo jaise bikar gaye hote..
Thu 13 Sep 2007
Posted by Rahul under
Hindi Shayari Comments Off
Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhode jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhege apne aur paraaye bhi
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehta hai duniya mein chhod dega hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi
Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.
Thu 13 Sep 2007
Posted by Rahul under
Greetings Shayari Comments Off
Ramadhan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein
Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous
Ao Aaj Hum Koshish Karein
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin
Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein
Ramadhan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum
khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par
Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle
Dar-e-Tauba Band Hone Se Pehle
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake
Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak…
Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak…
Sun 9 Sep 2007
Posted by Rahul under
Hindi Shayari Comments Off
Meray khuwabon k gulshan main,
Khizaen raqs karti hen,
mere honton ki larzish main,
wafaen raqs karti hen…
mujhy wo laakh tarpaey,
magar us shkhs ki khatir,
mere Dil k andheron main,
Duaen raqs karti hen….
usy kehna k lot aaey,
sulagti shaam se pehly,
kisi ki khushk aankhon main,
sadaen raqs karti hen……….
Khuda jaany kesi kashish he, teri yadon main…???
main tera zikir sheron to,
Hawaen raqs karti hen…!!!!
Sun 9 Sep 2007
Posted by Rahul under
Hindi Shayari Comments Off
“Tere Bagair jindagi, kat to jayegee,
Tu hota to thodi khusiya, shayad ke saath hoti.
Gam ki ye raten, na galat hone ko hai taiyyar
Kandeele-sifat dil, khud ko jala baitha,
Bajme hakeeki dekh tujhe, dil machal gaya
Pahloo me koi hota, aankho me neend hoti.
Jab bhi mere wo paas raha, door hi raha
Baton me uske kash, thodi mithas hoti.
Chalte gaye ummeed me ke kat hi jayegi,
Ye kaisi rahgujar hai, kaisa dayar hai,
Har simt ek sannata sa chhaya hai, khauf hai,
En pagdandiyon pe kash ke, kuch to gubar hoti.
Tere nam se pahchane hai na-shifat ko log
Warna to bejuban bhi chahe ke, saakh hoti.”
Sun 9 Sep 2007
Posted by Rahul under
Sad Shayari Comments Off
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi dhun ko suntay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi onchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main baith kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi K dekh kar bhi nahi
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aa
Sun 9 Sep 2007
Posted by Rahul under
Sad Shayari Comments Off
mitti meri qaber say chura raha hai koi………
mer k bhi yaad mujhe aa raha hai koi ………
aey khuda doo pal ki zindgi or day de ……..
udaas meri qaber say jaa raha hai koi
Us ko Chaha bhi to izhaar kerna nahi aaya
Cut gai umer mager pyaar kerna nahi aaya
Us ney manga bhi ager kuch to judai mangee
Aur hum thay kay hum ko inkaar bhi kerna nahi aaya
yon usay ishq k jhanjhat say rahai de di……
ik he lafaz main sadiyon ki judai de di………
azmayesh thi k hum dil k sakhi kitnay hain………
hum nay khairaat main us boot ko khudai de di…
Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai
sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai
bhari dunia main ji nahi lagta……..
janay kis cheaz ki kami hai abhi……..
waqat acha bhi aye ga KB
ghum na kar zindgi pari hai abhi
ghum teri judai ka iss kader giran guzra
paon say zameen nikli sir say asmaan guzra
hum rahay hain gardish main aftaab ki manind
ik din yahan guzra ik din wahan guzra
ujray hoye logon say guraizan na hua kar
halaat ki kabron k katbay bhi para kar
her waqat ka hansna tujhe barbaad na kar day
tanhai k lamhon main kabhi ro bhi liya kar
be aitbaar waqat pay jhujhla k ro paray
kho kar usay kabhi paa k ro paray
khushiyan humaray pass kahan mustakil thahrin
bahir jo kabhi hansay bhi to gher aa k ro paray
ab k yon dil ko saza di hum nay
us ki her baat bhula di hum nay
ik ik phol buhat yaad aya
shakhegul jub jala di hum nay
aaj tuq jis pay sharmatay thay hum
baat wo kub ki bhula di hum nay
us main kuch to khas tha
jis pay her khushi luta di hum nay
kis tarah guzrain gay furqat zada lamhay aakhir
aao iss baar juda honay say pahlay sochain………………………….
main bhi to dekhon ishq main apna muqaam khud
ya Rub mere raqeeb ki rasi daraaz kar………………………..
or kuch nahi hota to bhari barsaton main
tujh say bichray hoye raston per safar karta hon[/b]
tahreeron main simatatay kahan hain dilon k dard
main to yon he ji bhela raha hon in kaghazon k sath
« Previous Page — Next Page »