December 2007


tu nahi hai, tere pyar ki nishani mere pas hai,
salon se bacha rakhi hai, chot ek purani mere pas hai,

dard hai par neeend ki kami nahi hai mujhe,
maan ki ek pariyon ki kahani mere pas hai,

mushkilen hain abhi age behisaab to kya hua,
hausala hai,josh-e-jawani mere pas hai,

hansi tumhare pas hai,kehkahe tumhare pas hain to kya hua,
kisi bhookhe bacche ke liye aankh main pani mere pas hai,

na chah kar bhi ho jate hain dil tujh pe fida “Marasim”,
na jane kaisi subz ada-e-mastani tere pas hai……

——– Himanshu Sharma “Marasim”
From : heyiamgod

December Mujhay Raas Aata Nahi!

Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
Cheekhtey Hue Khuwab
Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
Jagti Subah Ko
Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
Safar Zindagi Hay
Safar Aagahi Hay
Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
Kayii Saal Guzrey
Kayii Saal Beetey
Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
Mery Paish-o-Pass
Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
Darindoo Ki Surat
Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
Magar Saal k Aakhri Din
Nihayet Kathin Hain
Har Ik Simt Laashon k Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
Kahan Tak Koi Dekh Paye?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
Mery Milney Walon!
Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
To Milna!!
k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
Yeh Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hay
Muskurata Nahi
December Mujhay Raas Aata Nahi…!!!

TO MY JAAN,

Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?
Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?
Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai?

Dil – E – Barbad se nikla nahi ab tak koi,
Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi,
Aas jo toot gai phir se bandhata kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

Tum assaratt ka kaho ya ise gam ka rishta,
Kahte hai pyaar ka rishta hai janam ka rishta,
Hai janam ka jo ye rishta to badalta kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

Ek jara hath bada de to pakad le daman,
Uske sine mein sama jaaye hamari dhadkan,
Itni kurbat hai to phasala itna kyon hai?
Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?
Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?
Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai

from:- ur love
Mujhe Sirf Tumhara hi intezaar hai,

From: banti_3485

Mohabbat karke dekho

Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
Mohabbat khud bhi hoti hai
Mohabbat khud hojaati hai
Mohabbat khud banati hai
Mohabbat khud bhi banti hai
Mohabbat khud bhi andhi hai
Mohabbat andha karti hai
Mohabbat jhuk bhi sakti hai
Mohabbat jhuka bhi deti hai
Mohabbat khud bhi nafrat hai
Mohabbat Pyaar bhi karti hai
Mohabbat Pyaar hai Dil ka
Mohabbat esaar bhi karti hai
Mohabbat kaam hai dukh ka
Mohabbat naam hai sukh hai
Mohabbat naam hai is ka
Mohabbat is hi ko kehte hain
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti

From:truth love

Ab mujh ko bhoolne ke bahane talash kar
Musam naya hai, tazah thakane talash kar

Aankhon ki duobti hoee kafiyatain na dekh
In murdah aansoon main zamane talash kar

Mahloon ke baasiyon ne to thukra diya tujhe
Galiyon main apne dost purane talash kar

Ya roshni ki burf se chehre ko dhaanp le
Ya zulimaton main khawab suhane talash kar
From : Zafar Alam Khan

Unse koyee shikwaa na shikaayat hee karenge
Jo kuchh milaa hai pyaar men chupchaap sahenge

Dil kee deewaar pe zakhmon ko siyaa hai maine
Dard uthtaa hai to usko bhee piyaa hai maine

Gham kee vaadee men ye toofaan jab bhee aate hain
Apnee yaadon ko hee ilzaam diyaa hai maine

Meree DhaDkan men vo rahte hain jaise sadiyon se
Par zubaan se na kabhee naam liyaa hai maine

Berukhee unkee ye kis moD pe le aayee hai
Aansuon ko bhee to chupke se piyaa hai maine

Bezubaan dil ye bhalaa kaise koyee baat kahe
Isko nagmon men hee izhaar kiyaa hai maine

Saans chaltee hai to jeenaa bhee paDegaa mujhko
Meree tanhaayee ko aise hee jiyaa hain maine

Shrikrishan Makhija

Mein na Mil sakon jo tumse meri justUgu na kerna,
tumhey meri he Qasam hai Meri Aarzoo na kerna …

Mujjhey jis se hai Muhabbat usey hai ajab ye addat ,
kabhe mun ko phair lena kabhe guftugo na kerna …

Meine chaha tha kiisi ko mera haall kia hai dekho,
jo kia kasoor meine wo he tum kabhe na kerna …

Mere ho Agar buarai to na dena tum safai ,
Merey sath khud ko ruswa kabhe ko-ba-ko na kerna …

Koi poochey Badnaseebi ke hai inteha bhe koi,
to meri Misaal dena tu mujhey Namoona kerna…

Mein na mil sakoon jo tumse meri justugo na kerna,
tumhey meri he qasam hai meri Aarzoo na kerna … !!

from: truth love

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.