February 2008


Ager hum door hoo jayein
Kaheen duniya mein kaho jayein
Batao kia karo gaye tum
Humein dondoo gaye ya
Phir bhul jao gaye
Humein awaz do gaye ya
Kesi guzri kahani mein
Humra nam likh do gaye
Chalo esa hee karna tum badal jana
Humein tum bhul he jana
Muger itni guzarish hai
Humra zikar jab aye
Zara sa yaad kar lena

Mere dil to tere pyar me itna pagal hai,
Jo sab ko chodke tere paas rehta hai,
Yaha tak ke muje uski zarurat hai,
Phirbhi mere paas ake usne dhadkan chodiya hai…

Aankho me arman diya karte hai,
hum sabki neend chura liya karte hai,
ab se jab jab apki palke jhapkenge,
samaj lena tab tab hum apko yaad kiya karte hai

Falsafa-e-Ishq Mein Paish Aaye Sawaalon Ki Tarah

Falsafa-e-Ishq Mein Paish Aaye Sawaalon Ki Tarah
Hum Pareshaan Hi Rahey Apney Khayalon Ki Tarah

Sheesha-gar Baithey Rahey Zikr-e-Maseeha Ley Ker
Aur Ham Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon ki tarah

Jab Bhi Anjaam-e-Muhabbat Ne Pukaara Khud Ko
Waqt Ne Paish Kiya Hum Ko Misaalon Ki Tarah

Zikr Jab Ho Ga Mohabbat Mein Tabahi Ka Kahin
Yaad Hum Aayein Gey Duniya Ko Hawaalon Ki Tarah…

Syed Bilal

Apne Karam se wo mera muqaddar bana gaye
katre ko 1 pal me samundar bana gaye
phoolo sa najuk tha dil mera
itna tadpaya k pathar bana gaye.

Dil udaas hai bahut koi peghaam he likh do
Tum apna naam na likho, gumnaam he likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin
Tamaam umer na likho magar ik shaam he likh do
Zaroori nahin ke mil jaye sakun har kisi ko
Sar-e-bazam na ao magar benaam he likh do
Yeh jaanta hun ke umer bhar tanha mujh ko rehna hai
Magar pal do pal, ghari do ghari, mere naam he likh do
Chalo hum maan letay hain ke saza ke mustahiq thehray hum
Koi in’aam na likho koi ilzaam he likh do

Syed Bilal

ek toh ehsaas teray na honay ka
uspar darr tujhe khonay ka
chun le tu koi sitamgar apna
mahsoos kar dard dil khonay ka
AH

Sapurd-e-khaaq kar di jaye gi jab zindagi meri
Tumhein phir yaad ta’dpaya karay gi meri
Ulajh kar gham ki duniya mein bhatak jao gay rahon mein
Tumhein shaam-o-sehar ho gi mehsoos phir kami meri

Syed Bilal

« Previous PageNext Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.