May 2008


Hum aapke dil mein rahate hai
Aur bhaada bhi nahin dete hai

Na mitti ki kami thi na kam lagayi gayi
Na mitti ki kami thi na kam lagayi gayi
Jo bhi bach gayi thi, woh upar lagayi gayi

khud ko kar buland itna ki zamaana ho deewana
khud ko kar buland itna ki zamaana ho deewana
neend se utha to paaya kutton ka dawaakhaana

Maine tujhe pyar kiya abla samajh kar
Tere baap ne mujhe baja dala Tabla samajh kar

Chand par kaali ghata chaati to hogi,
Sitaron mein Chamak aati to hogi.
Tum lakh chupao Duniya se, magar akeley mein
tumhe apni shakal pe hansi aati to Hogi

Kal jab mile thhe….
to dil mein hua ek sound.
Aur aaj mile to kehte hain…
your file not found! *

Jo muddat se hota aaya hai,
woh repeat kar doonga…
Tu naa mili to apni zindagi
ctrl+alt+delete kar doonga…

Shayad mere friendship ko
taste karna bhool gaye…
Dil sey aisa cut kiya
ke paste karna bhool gaye…

Laakhon honge nigaah mein
kabhi mujhe bhi pick karo…
Mere friendship ke icon pe
kabhi to double-click karo…

Roz subha hum karte hain
py! ar se thumne good morning…
aur aise ghoor ke dekti ho
jaise 0 errors aur 5 warning…

Aisa bhi nahin hai ke

Ghar se jab tum nikale
pehen ke reshmi gown.
Jaane kitne dilon ka
ho gaya Server down

Boss:

Arz kiya hai………

Office may Kaam hote hain…

Galtiyon ka sama hota hai….

Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai….

Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte…

Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai…. J J J …..

Employee’s reply…

Arz kiya hai………

Appraisal hote hain…

Disappointment ka sama hota hai…

Aise mausam mein hi to Attrition jawan hota hai….

Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte…

Ye fasana to resignation se bayan hota hai…. (Wah wah …. wah wah …

wah wah …) J J J J J J J ….

Khuda Aaj Ye Faisla Karde,..

market mein teji yaa Mandi Karde.

Bahut debit Sahe Hai Maine .

Koi Credit Ab Toh Muqadar Karde.

Bahot Muskil Lagta Hai teji se Duur Rehna,

Mandi Ke Safar Ko Kum Karde.

Jitna niche Chala Gaya senxex ,

Use Utna uppar Karde.

Nahi Likha Agar Nasib Me Credit,

To Khatam Kar Ye Zindagi aur

MARKET FANAA Kar de

Kabhi rootha nahe kartay….
sono aissa nahe kartay….

jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay….

jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay…… .

zara se batt par ay..dost…. …
youn he royya nahe kartay….!! !!

Khud ko is dil main basane ki ijazat de do

Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do

Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do

Mujhe qaid kar lo apne ishq main or
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do…

Syed Bilal

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai

Duwa yeh aati hai honton pe bar bar
Moat aane se pahle bas ek bar
Mere mehboob ke didaar hojaye
Dil hai ke koi aur khuwaab sajata nahi hai

Woh aayegi zaroor dil yeh kahta hai
Usi ki yaad mein muftalib yeh rahta hai
Ab ruk ne ko hai yeh saanse meri
Aur yeh waqt hai ke ruk jata nahi hai

Dard hai ke Mohabbat ka Jata nahi hai
Us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai
Didaar-E-Yaar ko hum tadapte rahe
Khuda bhi uska didaar karata nahi hai…

Syed Bilal

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.