August 2008


Kabhi tum idhar se guzar k to dekho
In aankhon se dil main utar k to dekho
Yahan tum ko apni mohabbat mile gi
Bohut gham deye the humain zindagi ne
Khelone se barh kar na samjha kisi ne
Magar tum ne a kar bhare zakham sare
Nigahoon main sab ki nazare base the
Diye jal rahe the sitare base the
Mere aansuon ko kisi ne na dekha
Kabhi tum idhar se guzar k to dekho

Kitnay wo itmenaan se thukra gaya mujhay,
aansoo bana ke aankh se tapka gaya mujhay..

kaisee ye rehbaree thi ye kaisa fareb tha,
munzil dekha ke raah se bhatka gaya mujhay..

khamosh nigahon se kahani suna gaya,
lafzon ke hair phair mein atka gaya mujhay..

mujhko bhi bachpanay ka ek mazaq samajh kar,
chhoti si ek hansi mein hee ura gaya mujhay..

do din mein us kay dil se muhabbat utar gayee,
aur do hi din mein yaad se mitaa gaya mujhay…..

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,

Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,

Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,

Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey…!!!

Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai
Log Milte Hain Juda Hote Hai

Kab Bichad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..

Baat Nikli Thi Is Zamane Ki
Jisko Aadat Hai Bhul Jane Ki
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..

Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa …..

Watan hamara to aik gulshan hay
Aur kyari hamari Aazadi
Is pe Tan Man nisar ho Apna
Hum ko jaan say hy pyari Aazadi
Is k Khaitoon Khalyanoon Shehroon main
Is ky drya behti nehroon Main
Goonjta hay sirf nara-e-Akbar
Is pe takya hay sari Aazadi
Qaim iska waqar rakhna hay
Aur yeh aitbar rakhna hay
Sada lagay gi dushmanoon k seenoon pe
Bn k aik zarb kari Aazadi
Iqbal ka dlnasheen khayal hay yeh
Johad Quaid ki aik misal hay yeh
Aur shaheedoon k khoon ka tohfa
Hum pe hay qarz bhari Aazadi

Watan si koi baat kaheen aur nahi hay
Gulshan si koi baas kaheen aur nahi hay
Jugnoo k chamknay k liya sirf raat hay kafi
Khilnay k liya phooloon k barsat hay kafi
Aazadiya izhar ki sooghat hay kafi
Aik honay ka ahsas kaheen aur nahi hay
Dolat ki gerchah yahan farawani nahi hay
Punjab ka pr aur kaheen pani nahi hay
Quaid kisi aur jagah bani nahi hay
Yeh pyar yeh ikhlas kaheen aur nahi hay
Dherti bhi aik jesi Aakash bhi hay wesa
Phooloon ki rango boo ka libas hay aik jesa
Seep main hain mooti almas aik jesa
Apnoon ka yeh aflas kaheen aur nahi hay

Yeh Faasle Teri Galiyon Ke Hamse Tai Na Huye
Hazaar Baar Ruke Hum, Hazar Baar Chale

Na Jaane Kaun Si Mittee Watan Ki Mittee Hai
Nazar Mein Dhool Jigar Mein Liye Qaraar Chale

Ye Kaisi Sarhadein Hein Uljhee Huee Pairoon Mein
Hum Apne Ghar Ki Taraf Ruk Ke Baar Baar Chale

mujhe pata nahin kya ho jata hai,
neend aati nahin or chain kho jata hai,
phir dil bechain ho jata hai,
or khwaab kuch aisa aata hai,
ki aap ka hath hamare hathon mein,
or sar hamare kandhe pe nazar aata hai.

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.