Na hogaa yak bayaabaa.N maa.Ndagii se zauq kam meraa
hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam meraa
Muhabbat thii chaman se, lekin ab ye bedimaaGii hai
ke mauj-e-buu-e-gul se naak me.n aataa hai dam meraa
Sun 21 Sep 2008
Na hogaa yak bayaabaa.N maa.Ndagii se zauq kam meraa
hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam meraa
Muhabbat thii chaman se, lekin ab ye bedimaaGii hai
ke mauj-e-buu-e-gul se naak me.n aataa hai dam meraa
Sun 21 Sep 2008
Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho
Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.
Panewalon Se Nahi,
Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.
Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho
Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,
Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,
Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.
Sat 20 Sep 2008
Tum zindagi ko gham ka
Fasana bana gaye
Aankhon main intezar ki
Duniya basaa gaye
Tum se thi mere pyaar ki
Duniya basi huy
Tum se thi zindagi ke
Andehre main roshani
Tum kiya gaye
chirag_e_mohabbat
bujhaa gaye
Duniya ujhar gayi
Mere sabro karaar ki
Ro ro k raat kaat ti houn
Intezaar ki
Jab chand par nazar pari
Tum yaad a gaye
Tum zindagi ko gham ka
Fasana bana gaye
Aankhon main intezar ki
Duniya basaa gaye
Sat 20 Sep 2008
Honth nahi keh sakte jo afsana dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho jaaye,
Iss umeed se karte hain intezar raat ka ki
Shayad sapno me mulaqat ho jaye.
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi me pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai
“Dekho aaj phir peekar aaya hai.”
Muskaan tere hothon se kahin jaye na,
Aansu teri palkon pe kabhi aaye na,
Poora ho tera har khwab aur jo poora na ho
Woh khawab kabhi aaye na
Yun nazar ki baat aur dil chura gaye,
Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye,
Hum to samjhe the “Ajnabi” aapko,
Aap to hume apna bana gaye
Meetha sa dard dil mein utha abhi abhi,
Kya tune yaad kiya abhi abhi?
Ek arse se mulaqat nahi hui
Phir bhi lagta hai tum mile abhi abhi.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Thu 18 Sep 2008
Ek aur baat mani
Ek aur zakham khaya
Khud hum ne apne hathoon
Dil ka diya bujhaya
Hum bhi the kitne nadaan
Kaisa freeb khaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya
Kabhi aye dil zubaan par
Koy shikwa na lana
Mohabbat k moqadar main
Likha hay umar bhar
Aansu hi bahana
Hay roshani k piche
Lakhon ghamon ka saya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya
Hain yun armaan dil main
K hoon kaydi kafas main
Tumain ab bhul jana
Naheen hay apne bas main
bhala deen ge kahan tak
Dil pe pehra sangdil
Duniya ki rasmain
Tum aur yaad aye
Jitna tumain bhulaya
Humain yeh kiya khabar thi
Tumain khona pare ga
Tumain apna bana k
Dil laga k
Aik din rona bhi pare ga
Joothi hansi ki khatir
Ashkoon ko hay chupaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya
Sun 14 Sep 2008
MUNNABHAI:-A sarkit, yaar mereko woh sister(nurse) se pyaar hogaya hai.Loveletter kaise likhun?
SARKIT :-Simple, BHAI, aap likh dalo I love you sister. I am your munnaBHAI
Sun 14 Sep 2008
Mout ke aagosh mein jb tak so jati hy MAA,
tu kahin ja k thora sa sakun pati hy MAA,
Rooh k rishton ki ye gehrayn tu dekhye,
chot lagti hai hume or chilati hy MAA,
Mangti hy kuch nahe apny liye Allah sy,
Apnay bacho k liye daman ko phelati hai MAA,
Pyar kehtay hen kise or Mamta kya cheez hai,
koi un bachon se puche jin ke guzar jati hai MAA,
Chahe hm khushion me MAA ko bhul jaen dosto,
Jb musibat sr pe aati hai tu yaad aati hai MAA.