April 2009


na sathi hai koi na humsafar hai koi..
na hum kisi k na humara hai koi,
par aapko dekh kar keh sakte hai,
ki pyara sa dost humara bhi hai koi

From: bhaskar 9860131732

Aap nahi to jindagi main kya rah jayega dur tak tanhaeyon ka silsila rah jayega Har kadam par sath calana mere dost varna apka ye dost akela rah jayega

From: Brajesh Kumar Paliwal

Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho.

Tanhaai me jab beete lamho ki yaad aati hai,
Kya kahe jism se jaan chali jaati hai,
Yun to unki berukhi yaad hai humein,
Per aankhe band kare to surat unki nazar aati hai.

Dhalti raat ka khula ehsas hai,
Mere dil me teri jagah kuch khas hai,
Tum nahi ho yahan mujhe malum hai,
Par dil kahta hai ki tu dil ke paas hai.

Mere chehre se utho do kafan,
mujhe aadat hai muskurane ki.
meri lash abhi mat jalana,
mujhe umeed hai unke aane ki.

Mausam ka ishaara hai, Hasraton ne pukaara hai,
Kaise kahe ke kitna miss karte hai hum aapko,
Ye sayari ussi yaad ka ek Ishaara hai.

Mohabbat main karne laga hoon
Uljhano me jine laga hoon
Diwana to main tha nahi,lekin
Tera dewana banne laga hoon

Pyaar ka safar karne chla hoon
Dil ki duniya basane chla hoon
Maine khwaab abh tak na dekhe the
Tujhe dekh ke khwaabo me jine laga hoon

Kabhi bikharta ja raha hoon
To Kabhi sawarta ja raha hoon
Qatal to mujhe hona nahi tha,lekin
Teri nigahoon se hue ja raha hoon

Unse dil lagaye behta hoon
Unhe apna banaye behta hoon
Bas darr raha hoon yehi soch-soch ke
Aaj unse ijhar karne ja raha hoon

From: Ansari Rizwan (rizwan1942@yahoo.co.in)

Muflison ke naseeb me andhera hota hai,
Unki zindagi me na swera hota hai,
Har iljaam lag jata hai kisi miskin pe,
Ke unki zindagi pe gurbat ka pehra hota hai.

Na koi hamdardi jatanewala hota hai,
Na koi dilo ka haal poonchnewala hota hai,
Fakht gareeb hona hi kasoor hai kisi miskin ka,
janaja bhi use khud ka Aap uthana hota hai.

Gurbat me jinewala kis kadar tang hota hai,
Jaise koi Nabina rangoo ke liye tang hota hai,
Baharein muflison ki zindagi me jald aati nahi,
Agar aajaein, to chinlenewala zamana khada hota hai.

Aah bharna bhi muflison ke liye sitam hota hai,
Koi meharbaniyon ka chalan na unke sath hota hai.
Sazaein milti hai be-khata unko,
Jaise abr ka mah me barasna hota hai…….

By ANSARI RIZWAN ON- 08/08/2007.
Dedicated to all POOR PEOPLE
From: Ansari Rizwan (rizwan1942@yahoo.co.in)

Dard Shayari
Mar mite kisi jaanasheen par dilon jaan se itna ,
Ke izhaar -e-mohabbat bhi kar baithe,
Fakht reh gaya malal itna ,
who koi jawab na de sake..

Love Shayari
kya khoob sazayaa hai usne saadgee se khud ko
jaise ale-jahan ki nazar kisi pe aam hoo gayee .

Ansari Rizwan (rizwan1942@yahoo.co.in)

Mujhe Kisi Se Koi Gila Hi Nahi
Woh Mera Tha Hi Nahi
Jo Mujhe Mila Hi nahi
Darte The Kaise Jeeyenge Uss Se Bichad Ke
Par Ab Toh Yaadoun Ka Silsila Bhi Nahi
Mujhe Tujh Se Koi Shikayat Nahi
Jo Samajh Sake Mujh Ko Woh Tu Nahi
Shayed Aisa Kabhi Koi Mila Hi Nahi
Phir Bhi Iss Zamane Se
Akele Ladne Ka Hounsla Baqi Hai mujh Me
Tumhare Baad Kitne Toofan Aaye
Mein Kabhi Hili Hi Nahi ….

« Previous PageNext Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.