Paane se Khone ka maza kuch aur hai,
Band aankho se rone ka maza kuchh aur hai.
Ansu bane lafz aur lafz bani gazal,
Us gazal me apke hone ka maza kuchh aur Hai………….
June 2009
Sun 28 Jun 2009
Sat 27 Jun 2009
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,
Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon..
Sat 27 Jun 2009
Apno se juda kar deti hai,
Aakhon mein paani bhar deti hai,
Kitni shikayat hai zindgi se.
Phir bhi iska aitbaar hai,
Phir bhi iska intzaar hai,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Kabhi khushiyon ka mela lagta hai,
Kabhi har koi akela lagta hai.
Kabhi humpe karam pharmati hai,
Kabhi humse nazar churati hai.
Palkon se isko chakhte hain,
Isey pass hi apne rakhte hain,
Itni nazakat hai zindgi se,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Humko adaayein dikhati hai ye,
Jeena bhi humko sikhati hai ye.
Kabhi paas hai to kabhi door hai,
Ye zindgi bhi badi mashhoor hai.
Kabhi karti hai aankh micholi,
kabhi sajaye sapno ki doli,
Itni shararat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Door ye ho to ghum hota hai,
Pass ho to iska karam hota hai.
Khud apni marzi se chalti hai,
Suraj ki tarah se ye dhalti hai.
Isey jab bhi hum dekhte hain,
Mann hi mann ye sochte hain,
Kitni hifazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Aansu bhi ho to pee lete hain,
Pal do pal khushi se jee lete hain.
Har pal humko nahi hai roka,
Thoda humko bhi deti mouka.
Zindgi gujar jaaye taqraar mein,
Chahe gujar jaaye ye pyaar mein,
Itni izazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
With Warm Regards
PREM RAJ VEER
09334353956, 09507236282
Fri 26 Jun 2009
Gham ne hasne na diya ghum ne rune na diya,
Kisi uljan ne koi faisla hone na diya,
Runa chaha jab bhi sitaro ne tasli dedi,
Sona chaha to teri yaad ne sone na diya.
-Sameer
Fri 26 Jun 2009
Ummeed aisi ho jo jeene ko majboor kare,
Raah aisi ho jo chalne ko majboor kare,
Mahak kam na ho kabhi dosti me,
Pyaar aisa ho jo milne ko majboor kare.
Gam ne hasne na diya, jamane ne rone na diya,
Is uljhan ne chain se jeene na diya,
Thak ke jab sitaaro se panaah lee,
Neend aayi to teri yaad ne sone na diya.
Aapko miss kiya,
Ek dil ki dhadkan miss ho gai,
Phir miss kiya,
To yaad aaya ek kiss miss ho gai,
Socha ki ab miss na karu, to jaana miss na kiya,
To samjho zindagi miss ho gai.
Chehre pe banaavat ka gussa,
Aakhon se Chalkata pyaar bhi hai,
Is shokha…e.. .adaa ko kya kahiye,
Inkaar bhi hai aur ikraar bhi hai.
Ugta hua sooraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko,
Ham to kuch dene ke kaabil nehi hai,
Dene waala hazaar khushiyaa de aapko.
Fri 26 Jun 2009
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain
Kuch Logoon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moortey Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karey Meri Issi Ada Pe
Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karey
Karoo Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay
EVERY DAY IS MOTHER DAY
Thu 25 Jun 2009
Jab bhi in hoton par naam tera aaya,
MIt gaye saare gum diwana dil muskuraya.
Saanse ruk jaati humari logon ne itna rulaya,
aap se seene se lagkar is dil ko chain aaya.
Bhool gaye chubhte gum aap ne itna hasaya,
Bohot khushnaseeb hai hum jo aapko is zindgi me paaya.
-Dev SP
Thu 25 Jun 2009
Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai
Regards
Ashutosh Sharma
S.E. Indore
mail at: ashunaval@yahoo. co.in
Wed 24 Jun 2009
Vo vaada karta hai aur bhula deta hai,
Yeh dil fir bhi uss ko dua deta hai,
Kabhi di thi iss dil ko kushi,
Ab yaad aata hai tou rulaa deta hai.
-Meenu
Wed 24 Jun 2009
Hi,
Friends now my sms are also available at

Tasawur me hum une hi niharte hain
Apni tanhaian humaise hi gujarte hain
Ae kash une khabar ho jaye
Ki hum kitni shidat se une pukarte hain
-Meenu
