June 2009
Monthly Archive
Thu 25 Jun 2009
Posted by Rahul under
Hindi Poems ,
Hindi Shayari Comments Off
Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai
Regards
Ashutosh Sharma
S.E. Indore
mail at: ashunaval@yahoo. co.in
Wed 24 Jun 2009
Vo vaada karta hai aur bhula deta hai,
Yeh dil fir bhi uss ko dua deta hai,
Kabhi di thi iss dil ko kushi,
Ab yaad aata hai tou rulaa deta hai.
-Meenu
Wed 24 Jun 2009
Posted by Meenu under
Hindi Shayari 1 Comment
Hi,
Friends now my sms are also available at

Tasawur me hum une hi niharte hain
Apni tanhaian humaise hi gujarte hain
Ae kash une khabar ho jaye
Ki hum kitni shidat se une pukarte hain
-Meenu
Wed 24 Jun 2009
Posted by Rahul under
Hindi Shayari Comments Off
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne..
Kareeb mout khari hay zara thair jao
Qaza se aankh lari hay zara thair jao
Thaki thaki si fazayen bohjal bohjal se tare
Bari udas ghari hay zara thair jao
Naheen umeed k hum aaj ki saher dekheen
Yeh raat hum pe kari hay zara thair jao
Abhi na jao k taroon ka dil dharakta hay
Tamaam raat pari hay zara thair jao
Damfraq main tumain je bhar kar dekh to lain
Yeh fasle ki ghari hay zara thair jao
Phir is k baad na hum tum ko rokain ge
Laboon pe saans ari hay zara thair jao…!
- Tushar Arora +91-9813493438
Wed 24 Jun 2009
Posted by Rahul under
Hindi Shayari ,
Hindi SMS Comments Off
Jo dil se kabhi mithta nahi, who ehsaas hai tu
phisalthe lamho ko kaid karne ki guzarish hai tu
kaise bathaaon tujhe, ki ky hai tu
gar samjahna hai to ithna samajh le ki
meri zindagi ka maqsad hai tu
- Roshni Kale
Wed 24 Jun 2009
Posted by Rahul under
Hindi SMS Comments Off
Paani se tasvir kahan banti hai,
Khwabo se takdir kahan banti hai,
Kisi ko chaho to sacche dil se,
Knunki yeh zindagi phir kahan milti hai.
Wed 24 Jun 2009
Posted by Rahul under
Dard Shayari 1 Comment
jhuthe ye vadein,
jhuthi thi kasmein,
muzko nahi tha ye pata,
sach kah raha hoon,
ye bhi na janu,
muzse huyi ye kya khata,
man me milan ki aas lagi hai, hothon pe mere hai dua,
yaar kaise tuzko main bhulao,
jakhm dil ka kaise main dikhao,
ki jor mera ab chale na,
kya hai bebasi kya batao.
- Aparna
« Previous Page — Next Page »