Tera khawab hoon tou aankho mein basaa le mujh ko,
Tera chahne wala hoon, apna diwana bana le mujh ko,
Main pathar tha,tune choo kar heera bana diya hai,
Dil mein chupaa ke rakhna, koi tujh se na chura le mujh ko.
- Meenu
August 2009
Sun 30 Aug 2009
Sun 30 Aug 2009
Humari har lamha chura liya aapne,
Aankhon ko ik chand dikha diya aapne.
Humein zindagi toh di kisi aur ne,
Par pyar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Avinash Kundan
9910089467
avinashkundan368@gmail.com
Sun 30 Aug 2009
Kar raha hoon yad gesu (Bal) ka maja
Dhup main leta hoon loo ka maja
Uski aankhon ki nashili mastiyan
Ya ki loon main apne aasoon ka maja
Ghir gaya hoon main katili bar se
Ud gaya aakash khushboo ka maja
Unki khatir gar nadi ka neer hai
To hai mere nam baloo ka maja
Ho nahi sakta hai yah uska makan
Khwab jaisa ho gaya mere liye
Film Surkus, Nach , Jadu ka maja
Tod deta hai khilaune mauj main
Khoob hai ye mere raju ka maja
Ekdam Hindi gajal kaise kahoon
Ghul hi jata isme urdu ka maja…
Sun 30 Aug 2009
Sikha nahi hai maine kabhi musibaton se harna
Sikha hai sagar ki lahron se sangharsh karna
Kiyon dara rahe ho bhala tum inko kinaro se
Aata hai mujhe bich majhdhar se kashti nikalna
Main wah nahi jo khwab ka mahal banata ho warshon
Mujhe aata hai jhopri ko mahal main badalna
Karm karte jao fal tumhen milte rahenge har dum
Laksh ke path par aatm wiswash ka rath taiyar rakhna
Manjil aakar kadam chum legi tera bade aaram se
Agar jan jaoge tum dridh “Eklavy” banna.
Avinash Kundan
9910089467
avinashkundan368@gmail.com
Sun 30 Aug 2009
Kiya kaha aur kiya kar ke dikhaya dekho
Iss tarah doston ne haq ko nivaya dekho
Hamse ulfat ke wo karte rahe wade jhuthe
Khud ko bachakar rahe logon ki badjubani se
Hamko badnam jamane main karaya dekho
Hamne gairon ko bura kahte hue dekha hai
Hamko to chahne walon ne sataya dekho
Karke badnam “Avinash” ko khud hi jalim ne
Hamse kis tarah daman ko bachaya dekho.
Avinash Kundan
9910089467
avinashkundan368@gmail.com
Sun 30 Aug 2009
Mohababat ki nahi jati
Mohababat ho hi jati hai
Mohababat aankho ke jariye
Dil mai aa hi jati hai
Mohababat dikh nahi sakti
Magar mahshush hota hai
Mohababat isq ka paudha
Jamin-e-Dil pe boti hai
Mohababat dhire-dhire jab kabhi
Dil main samati hai
Mohababat ki mahak sare
Badan main fail jati hai
Mohababat ek tohfa hai
Jise dete hain hum lete hain
Mohababat se hi kashti
Jist ki hum log khete hain
Mohababat ho jise wo
Chain se fir so na sakta
Mohababat wo khajana hai
jo khali ho nahi sakta.
Avinash Kundan
9910089467
avinashkundan368@gmail.com
Sun 30 Aug 2009
“Nishan” gam ke rahte hain der tak
Afsane yad aate hain der tak
Wo yad nah karta shayad ab
Hum aaj bhi pukarte hain der tak
Kabhi uske harf hasa dete the
Aaj uski yad rulati hai der tak
Nahi aansan bhulana apni Mohababat
Darde Mohababat rulati hai der tak
Jakhm aisa jindgi ne diya hai “Dosh”
Aankhon se aansu bahte rahte hain der tak”
Avinash Kundan
9910089467
avinashkundan368@gmail.com
