October 2009
Monthly Archive
Fri 30 Oct 2009
Ghazal ka matlab likh raha hoon taki padhne walon ko ashaani ho :
Mera qatl kar ke soharat mili mere shagird ko. meri nigaah use takhti
rahi magar mujhse milne kabhi woh nahin aaya
Ghazal aap ki nazar….Aap ke Reply ka mujhe besabri se intazar
rahega.
Mera Qateel – Shayar
saaya tak uska nazar nahin aaya
kabra khudwakar be-khabar nahin aaya
mujhe sula kar, hua woh ruksat kahin
qateel mera wapas ghar nahin aaya
maut naseeb hui mujhe, saugat ki tarha
jab tak jeeya gam-e-safar nahin aaya
sohrat mili use mere jaane ke baad
mujhse milne mere mayyat par nahin aaya
be-sabra “nigaah” tak-ta raha magar
sham-ma bujh gayee woh shayar nahin aaya
Nigaah…!!
Thu 29 Oct 2009
Posted by NikunjGoyal under
Hindi Shayari Comments Off
Ghisey hue jutey or badti dari , achanak chaprasi ne hume awaz mari.
Chinta nahi thi ki aaj miteygi ya nahi humari berozgari, khushi toh thi ki kum se kum ayi humari sashatkar ki bari.
Ander jatey hi Babu ne humey samjhaya , ya yun khahiey kuch ase niptaya
ki bhai chal raha hai mande ka daur , aap jaeay khai aur.
Khun ka ghut pi kar rahe gaey jab unhoney humari resume ki copy fari, lekin fir humare samajh me ayya ki mande humare peet par fir chot hai mari.
Aaj bas dil ek hi sawal uthta hai , ki ey mere azad Bharat kya such much mit chuki teri berozgari, ya tere chmakte chere ke piche chipe hai lachri?.
Ab toh kuch aisa karna hoga ki aey apni bhi bari , kahin aisa na ho apne desh kha jaey yeh mahamari.
Mai bhi hu is intezar me ki ek din dunga apni Maa ko nai saari ,aey mere azad bharat kya such much mit……………….berozgari.
Thu 29 Oct 2009
Posted by NikunjGoyal under
Hindi Shayari 1 Comment
Dar- dar batakta raha hu me do waqt roti ke liey,
dhup me jhulazta raha hu me do waqt roti ke liey
Pardes me akela raha hu me kabhi na gabhraya,
mushkiley kitni ayi pao peechey na hataya.
Ghar aa nahi payya kabhi diwali ya rakhi ke liey
apno ke pyar ne rulaya do waqt roti ke liey.
Maa- Bauji ko zarurat hai meri , dil ne bahut samjhaya,
sabse badi bhuk hu me teri dimag ne yehi bataya.
Kuch samay ne de payya apne maa- bauji ke liey,
seba ka pun bhi gabaya do waqt roti ke liey.
Yuh toh me khud ke liey bhi nahi ji payya kuch pal ki liey,
bhuk ne juda karwaya Mujh ko Mujh se har pal ke liey.
Raat ko chinta hoti hai , agli subhah roti ke liey,
aaj isi chinta ne chitha par pahuchaya Do Waqt Roti K Liey.
aaj isi chinta ne chitha par pahuchaya…………..k liey.
Thu 29 Oct 2009
Posted by kavyaraj under
Dosti Shayari ,
Hindi Shayari Comments Off
Hum ne jab kabhi khushi mehsoos ki,
Har kadam pe aapki kami mehsoos ki,
Door reh kar bhi aapki DOSTI me kami na aai,
Yeh baat hum ne dil se mehsoos ki.
Thu 29 Oct 2009
Posted by imran under
Hindi Shayari Comments Off
Kisi ki aankhon me mohabbat ka sitara hoga,
Ek din aayega ki koi shkhs humara hoga,
Koi jahan mere liye moti bhari seepiyan chunta hoga,
Wo kisi aur duniya ka kinara hoga….
Kaam mushkil hai magar jeet hi lunga kisi dil ko,
Mere khuda ka agar zara bhi sahara hoga…
Kisi k hone pr meri saanse chalegi,
Koi to hoga jiske bina na mera guzara hoga…
Dekho ye achanak ujala ho chala,
Dil kehta hai ki shayad kisi ne dhime se mera naam pukara hoga…
Aur yahan dekho paani me chalta ek anjaan saya,
Shayad kisi ne doosre kinare pr apna pair utara hoga…
Ab to bas usi kisi ek ka intzar hai,
Kisi aur ka khyal na dil ko gawara hoga…
E- zindgi !! ab ke na shamil karna mera naam,
Gar ye khel hi dobara hoga….!!
Thu 29 Oct 2009
Posted by imran under
Hindi Shayari Comments Off
Aaj bheegi hain palken uski yaad mein ,
aansu bhi simat gaye apne aap mein,
oos ki boonden bikhri hain zameen par,
mano chandni bhi royi ho uski yaad mein…..
*****************************************
kabhi palkon pe ansu hain kabhi lab pe shikayat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
jo aata hai wo jata hai, ye duniya aani jaani hai,
yahan har shay musafir hai safar mein zindagani hai,
ujalon ki zarorat hai, andheera meri qismat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai,
zara ay zindagi tham le tera dedaar tu kar lon,
kabhi dekha nahi jis ko osay main pyar to kar lon,
abhi se chor k mat ja abhi teri zarorat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
koi anjaan sa chehra ubharta hai fizaon mein,
ye kis ahaten jagi meri khamosh rahon mein,
abhi ay mout mat aana mera thikana jannat hai
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai
Thu 29 Oct 2009
Posted by romit07 under
Hindi Shayari Comments Off
Aarzu thi ki unki banhon me dun nikale !!
Esme dosh thumara nahi jab badnashib hum nikale !!
Next Page »