February 2010


Kuch din pehle es group ki shurooyat ko hue purre char saal,
jin logo ne ki shurooyat unka kaam hai bemisaal,
kuch logone likhi shayri yaha bar bar,
monoranjan diya sabhi ko samajh ke apna rishtedar…

kai logono likha apne dil ka woh haal,
hue kuch log unmese bhi ghayal,
ab umeed karte hai sabhi likhe kya hai unka khayal,
silsila yeh shayri ka chale aur 25/30 saal

HAPPY ANNIVERSARY ON FEBRUARY 24, 2010

Hi guys..This one’s not originally written by me but i
had heard it from one of my friends edited a bit of it
and here’s what came out finally:

Yaad na aye koi mujhe is jahan mein,
Tere siwaye kuch bhi na sochoon,
Dekha hai jabse tujhe mere humdum,
Chaand sitare bhi na dekhoon….

Raj Aryan

Bas kar ujrein ge, kabhi socha naa tha…
Inn lamhaat se guzrein ge, kabhi socha naa tha…

Kitna pyar tha humein apne aap se…
Zindagi ban jayegi Azaab, kabhi socha na tha…

Unhein to fikr bhi naa thi humari…
Humein fikr ho jayegi unki, kabhi socha naa tha…

Apno ne haath uthaya sar se, phir darbadar huye ghar se…
Itne bhi mushkil lamhaat aaein ge, kabhi socha naa tha……

ek shayar ki faryaad suno, uski zubani,
dard-e-dil ki dastaan suno, uski zubani|

dil laga baitha tha woh, ek ajnabi se,
adhure pyar ki nayaab kadi suno, uski zubani|

ek dil hai, ek dilbar hai, ek gulistaan,
is sehere ki rudali suno, uski zubani|

in tanhaiyon ki gali mein, kaisa shor hai barpa,
koi diljala roya hai, uski zubani|

Nikhil Diwakar

Milan
Ek tumse milne ke liye jaan gawa bethe hai hum
lekin dunya se kya kare dartein hain hum

Mere darrti hun mughe kayar hi samaj lena tum
lekin mughe kabhi bewafa na keh dena tum

Ghum judai ka dil mein daba lenge hum
Lekin ilzaam bewafai ka na seh payenge hum

Dunya she ladh nai sakthi inki anjaamo se khabratein hai hum
Lekin logon ke zubaano se dartein hai hum

Mughe apne badnaami ka koi gila nahi sanam
De dungi mein jaan api tere liye har janam

Lekin kaise thod dun mein apno buzurgon ka bahram…

Ghayal
Gunah ki sazza bhi na sunayi aur chal diye
Mohabaat ki raza bhi na sunayi aur chal diye

Mazirath ka jawab dena bhool gaye
Maarkar kiski ko nishaan mitnana bhool gaye

Aye mere katil mughe tum marta chor gaye
Jate jate meri ankhon mein apna chehra chor gaye..

Tabu

woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko,
chod raha hai tanha mujhe, koi use roko|

rutha hai mujhse, beheka hai mujhse,
hai uski bhi kuch geheri ranjishen,
hai galtiyan kiski, hai gunha kiska,
ho kuch bhi, par badh raha hai fasala,
tut raha hai dil mera, koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|

manaya use, behelaya bhi,
ban ke phool, main murjhaya bhi,
mannaten ki maine haat jodke,
jaa raha hai woh, mera dil tod ke,
ban raha hai sangdil, koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|

jaanese pehele dekha usne mudke,
nigahonse kuch unkaha bayaan karke,
shayadse kuch ankahe sawal,
shayadse kuch unsune jawab,
chod raha hai baat adhuri koi use roko,
woh jaa raha hai yaar mera, koi use roko|

Nikhil Diwakar

Dear All,
1. Jubaa khamosh rahti hai nazar se kaam hota hai,
Isii aalam ka shayad Mohabbat naam hota hai

2. Hum unhe dekhte hai duniya se nazar chura kar
Vo Hume dekhte hai Hami se nazar Churakar.

Ritu

« Previous PageNext Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.