Romantic Shayari


Teri ek hasi pe ye dil qurbaan kar jaoo,
Aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoo,
Na behne du kabhi in aakho se aansu,
Tu kahe to tere saare sitam sah jaoo.

Hasta hua rakhu tere labo ko hamesha,
Chumkar jinhe woh pyaari muskaan de jaoo,
Seene se laga ke rakhu tumhe,
mann to karta hai tujhme sama jau.

Sunti hi rahu tumhari dhadkano ko,
aur apne dil ki har baat kah jau,
gum ko kabhi kareeb na aane du,
aur tumhe zindage ki khushiya tamaam de jaoo

Kisi ke khatir mohabbat ki inteha kar do…..
Lekin itna bhi nahi ki usko khuda kar do…….
Mat chaho kisi ko toot kar itna……
ki apni hi wafao se usko bewafa kar do……

Prem Parichay Ko Pehchan Bana Deta Hai,
Prem Registaan Ko Gulistaan Bana Deta Hai,
Main Apni Aap-beeti Kehta Hoon Gairon Ki Nahin,
Prem Insaan Ko Bhagwaan Bana Deta Hai.

Pyar Mohabbat Shayari

Mohabbat kyun hoti hai.?
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai…

Samandar nay kaha……..
Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai.. Jiss may
chahat jessa anmol moti mojood hai.

Baadal nay kaha ……..
Mohabbat eik ~dhanak hai . Jiss may har Rang Nomaya hota hai…

Shairy nay kaha……..
Mohabbat eik esse ghazal hai ,, Jo har eik sunay walay kay dil may
uttar te chali jate hai …

Saaz nay kaha ……..
Mohabbat eik essa geet hai .. Jo Dil may uttar jata hai ..

Malee nay kaha……..
Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai… Jiss may sara
gulshan mehak uttah hai…

Ankhon nay kaha ……..
Mohabbat ansoo ka samandar hai.. jo kisse kay intezar may khamoshi say
behta hai…

Dil nay kaha ……..
Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai… kay aakhire
waqt bhee Izhar na kiya jay…

Naseeb nay kaha ……..
Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai .. Aur jiss kay Dil may
Mohabbat nahin… Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai…

Nafrat nay kaha ……..
Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai……………

Aur hum nay kaha ……..
Jo hum se bahut dur he wo Mohabbat he……….

Mere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,

Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,

Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,

Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,

Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum…

Fahim Memon

“Totally fida on your shayri ab hamari bhi suno
waqt badalta hai zindagi ke saath,
zindagi badalti hai mohabbat ke saath
mohabbat nahi badalti apno ka saath
bas apne badal jate hai waqt ke saath.”

Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
Dosti naam hai sada muskurany ka
Ye koi pal bhar ki pehchan nahi
Dosti naam hai sada sath nibhana ka

Tere labo ko chu loon wo sham aa jaye,

Tere pyar mein behne ka paigam aa jaye,

Ye zindagi to hai teri amanat,

Bus mere naam ke sath tera naam aa jaye.

avinashkundan368@gmail.com

9910089467

Haan, maine bhi pyaar kiya hai
Dil tujhko hee yaar diya hai.
kyun aisa kaam kiya hai?
Maine khud ko badnaam kiya hai.

Yahi hoti hai sachayii
dil de dete hai kisi ko bhi bhai.
sochte samkhte kuch bhi nahi,
kar dete hai do khata, jo theek kar sakte nahi.

Geetali (Ishq)

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.