Sad Shayari


Ab teri yad sy wehshat nahin hoti mujh ko
Zakhm khulty hain aziyat nahin hoti mujh ko

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hn
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko

Aisy badla hn tery sheher ka pani pee kar
Jhoot bolon to nadamat nahin hoti mujh ko

Hy amanat main khayanat so kissi ki khatir
koi marta hy to herat nahin hoti mujh ko

Itna masroof hn jeeny ki hawas main Mohsin
Saans leny ki bhi fursat nahin hoti mujh ko…

Written by : Mohsin
Presented by : Muhammad waqar butt

Jab Se Hui Hai Shaadi
Aansoo Baha Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon

Biwi Mili Hai Aisi
Vo Kaam Kya Karegi
Khud Lux Mein Naha Kar
Khushbu Mein Tar Rehegi
Tukde Bache Hue Hain
Unse Naha Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon

Barah Baje Ghadi Mein
Madam Ji So Rahi Hain
Bacho Ki Fauj Aake
Meri Jaan Ko Ro Rahi Hai
Bacho Ke Saath Baitha
Khana Paka Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon

Soyi Hai Vo Palang Par
Sar Dard Ke Bahane
Kis Ki Majaal Hai Jo
Jaaye Use Uthane
Yaaro Bura Na Mano
Mein Sar Daba Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon

Duniya Ko Yeh Pata Hai
Begum Ka Hoon Mein Shohar
Is Ghar Ka Mein Tha Malik
Ab Ban Gaya Hoon Naukar
Bistar Laga Raha Hoon
Chadar Bicha Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon

Jab Se Hui Hai Shaadi
Aansoo Baha Raha Hoon
Aafat Gale Padi Hai
Usko Nibha Raha Hoon…

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake
Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye…

Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.

Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.

Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota …

Sachin Choudhary
Romantic Jatt

mail me at Sachin_rathi19@yahoo.co.in

Tumhe jab se dekha ha i maine ,
ankho mai anshu aya jate hai,
kya kahon kase kahon kaise batio,
mushkil ruk pate hai…

1.Dard se khelna sikh gaye hum
Bewafayi ko jhelna sikh gaye ham kya btaye
Hame zindagi ne kis kadar saqth bana diya,
Ke maut se pehle kafan odna b sikh gaye hum!

2.Hamne tho apna dil unke hath me thama tha..
Mohabbt karte hai unse ye ehsaas dilaya tha..
unhone b kya koob natak nachwaya tha..
tod k dil bazar me dande se tookwaya tha..
dil to pagal tha sab kuch seh paya..
dek k unki bewafi kuch na kr paya..
rooh ko apni izaat pyari thii..
kaa k kasam
mouth ko apni gale lagwaya…

3. Kisi Aur k nam ki mehandi
apne hatho me tho tum saja chuki ho,
sirf rang utar na baki hai,
hamara dil tod k tum hamari jaan lechuki ho,
sirf kafan se chupana baki hai…..

4. Legayi sb kuch magar bs kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka akri rehnuma rehne dia,
Hum gaye they unko loutane k liye.
Wo kha k raham rehne diya

5. Mili he bahut saja unse Dil lagane ki
Nazr lag gai mere pyar ko zmane ki
Markr b KABAR se Nikle rahe 2no hath
Arju rh gai unhe gale Lgane Ki.

6. Unko Jana Tha bait k Doli me wo Chale Gaye
Hamko rokna Tha magr roke na ruke
Dhono ka safar tho churu hogaya tha,
Fark To Sirf Itna Tha,
Unko doli me bitaya gaya,
aur Hame dole me sulaya gaya…..

7. “Kafan na dalo mere Chehre par.
” mujhe Aadat hai muskuraney ki.”
aaj ki raat na dafnao mujhe yaroon,”
aaj umeed hai unke Aane ki”..:

8. Mohabbt me yeh Hum kahan agaye!
Gar se nikle the aur Maikane pahunch gaye,
ye mohbbt b kya cheez hai yaro,
jab ek moqaam se nikal gaye,
tho dusre moqaam pahunch gaye,
jab maikane se nikle the,
Aaj kabrstan pahunchaye gaye..

9. Khuda ki mahobbat fanah kaun karega..
Sabhi neak ban gaye to gunah Kaun karega..
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna..
Warna hamari maut ki dua kaun karega…

Authors Uknown
COMPOSED COLLECTED BY:-
MOHD JAVEED ALI
009700885737

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein?
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar?
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana?
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna? Anwar*

Mohd, Anwar
Shayari World Group Member
00966531096713

Kisi din teri nazro se dur ho jayenge hum,
Dur fizaon me kahi kho jayenge hum.
Meri yaadon se lipat ke rone aaoge tum,
jab zameen ko odh ke so jayenge hum…

2.Meri barbadi par tu koi malal na karna,
bhul jana mera khyal na karna,
hum teri khusi k liye kafan ODH lenge,
pr tu meri laash se koi sawal na karna…

3.Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti,
phulon ko baharon ki kami nahi hoti,
fir kyu hume yad karoge Aap,
Aap toh Aasman Ho aur
Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti.

4. Mana k kal hum akele reh gaye,
judai k aansu ankho se beh gaye,
rothe hue ko koun chup karayega,
jo chup karathe the wo hi aaj chup hogaye.!

5.Tamannao me Uljhaya Gaya hoon,
khilone de k behlaya gaya hoon,
Kafan me kyun na Jaun muh chupa k,
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon…

6. Aaj kareeb se guzar kr gayi hai,
Andaaz be nam kr gayi hai,
Maiyat pe meri ruk kr anjaan ban gayi hai,
poochthi hai logo se
ye kis ki maiyat sajayi gayi hai,

7.Rulane wale akhir hume rula denge,
zehar de k gehri neend sula denge,
fir b koi gam na hoga hume,
dard tho tab hoga jab app hame
sath chor ne ko kehenge…

8. Mouth k baad yaad aa raha hai koi,
Meri kabr se mitti utha raha hai koi,
Aye Khudha do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udaas ja raha hai koi…

9.Nakaam mohabat ka bhi afsaana hoga,
sache pyar ka b harzana hoga,
apne aankho se dekh lena Zalim,
teri “DOLI” se khubsurat mera “JANAZA” hoga….

10. Me duba tho kinare pe khadi thi dunia,
Hasne walo me mera mukadar b shamil tha,
Ro raha tho jo Janaze se lipat kar mere,
kaise keh dhoo k wahi mera katil tha!

11. Wo ayenge gar pr mere,
sun k mout ki kabr meri,
yaro zara kafan hata dena,
kamaskam deedar tho hoga myyat ko meri.
Dek k agar wo ro dhe tho utha dena,
agar kamosh rahe tho chera chupa dena,
humse agar wo krti hai mohabbt tho izhar wo karegi,
agar na kare izar tho beshrm ko dak k mar k hakaal dena..

Mohd Anwar

SadShayari

Na jane kyu ho raha hai is Dil ko,
Shaayad fir koi yaad aa raha hai is Dil ko,
Nahi Chahati main fir kuch likhna or sochna,
Par uski yaad hai jo chali aa rahi hai,
Kya ye sach hai ya mera Vaham,
Ki mera Dil jodne wala hi Dil todde ja raha hai mera,
Kyun nahi kahti hu main use sabke samne,
Par akele me wo sabse karib lagta hai mere Dil ke,
Janti hu main kabhi paa nahi sakti usefir bhi,
Kya hoga agar mil jaaye wo mujhe kal ko,
Itna chahata raha jise ye Dil-O-Jaan se,
Par koi to samjhe is khambhakt dil ko,
Na jaane aaj fir kya ho raha hai……………
Ye mujhse behtar is Dil me rehne wala hi jaanta hai………

Thanks Regards

Shahin Parveen
yshama.786@gmail.com

Yaadein

Ab Bund Bund Tapke
Meri Aankh Yun Barse

Teri Yaad Jab Bhi Aaye
Jiyaa Piyaa Milan Ko Tarse

Badal Hain Har Su Chaye
Mera Dil Yun Tarsaye

Chupke Se Aakar Koi
Meri YAADOUN Me Samaye

Mera Dil Bhi Dhadkaye
Jab Bund Bund Tapke…..

Thanks & Regards
Mrs Rubina Yasmeen

Specially For Someone…
Sad Shayari
Kisi Lutere Ne Nahin-Mujhe To Teri Sadgi Ne Lutliya,
Kisi Waqt Ne Nahin-Mujhe To Tere Intezar Ne Mardiya,
Kisi Khanjar Ne Nahi-Mujhe To Tere Alfazo Ne Zakhmikiya,
Are Ab to Gussa Chhod De – Mujhe Teri Khamoshi Ne Mardiya,.,

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´
God gives Love and LOVE is ME
IBRAHIM

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.