woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty

khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty

yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty

tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty

yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty

har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty

Related Posts with Thumbnails