Fri 18 Dec 2009
Bewafa ki doli
Posted by Avinash Kundan under Bewafa Shayari , Hindi Ghazals , Hindi Shayari1 Comment
Tum apne mahal ki fikar karna
Garibo ka jhappar jalane se pahle
Aajmana apne pyar ko kasauti par
Kisi diwane se dil lagane se pahle
Yakin mano hath kanp (kampan) uthenge tumhare
Pyar bhare dil ko jalane se pahle
Chhalkenge aansu aankhon main hajar bar
Mohababat main rang lane se pahle
Chamak uthegi aasma main bhi bijliya
Bin badal barsat aane ke pahle
Toot jate hain khwab mohababat main aksar
Suna hai khwab sajnae se pahle
Yah mashum chehre bhi dete hain dhokha
Na samjhega koi chot khane se pahle
‘Avinash’ ki bhi uthegi maiyat (janaja) yaron
Bewafa ki doli sajan ke ghar jane se pahle.
avinashkundan368@gmail.com
9910089467
December 19th, 2009 at 4:39 PM
Bhai avinash bus itna hi kahunga ki jaha pyar hota he waha ummed hoti hai.
Dont ever and ever give up.