ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty
 
woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty
 
khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty
 
yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty
 
tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty
 
yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty
 
har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty
 
ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

Related Posts with Thumbnails