Fri 30 Jul 2010
Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke
chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain
aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain
aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun
jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun
sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…
Jagdish


August 13th, 2010 at 12:31 PM
Tujhe dekhe bina teri tasvir bana sakta hu.
Tujhe dekhe bina tera hal bata sakta hu.
Hai mere pyar me etana dam ki meri aakho ka aashu teri aakho se baha sakta ho.
August 18th, 2010 at 8:40 PM
hamko toh apno ne luta .
gairon me kahan dum tha.
jahan meri kashti thi dubi vhan pani bahut kum tha.
August 21st, 2010 at 4:29 PM
Dosti meri bas us ek gham se hai,
Mila jo mujhe mere sanam se hai..
Dard itna nhi mujhe mere kisi gham ka,
Jitna dard us khushi se hai jo mili mujhe mere humdum se hai…