Mon 29 Mar 2010
Some emotional shayari for all of you. hope u like it
Posted by Rahul under Hindi Shayari[19] Comments

Mohabbat mein na padna mere dosto, mohabbat mein bas rusvai hai…
pehle to dil aabad rahe ga, aakhir mein tanhai hai…
—–
Apnay honton per sajana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon,
koi aansoo teray daaman per gira kay,
boond ko moti banana chahta hoon,
thak gaya main karte karte yaad tujh ko,
ab tujhe main yaad aana chahta hoon,
aakhri hichkee tere zanane pay aaye,
maut bhi main shairana chahta hoon,
apnay honton per sajana chahta hoon,
aa tujhay main gungunana chahta hooon
Raj Pradip