Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De

Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De

Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De

Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De

Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De–

Related Posts with Thumbnails