Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Ab na rahi tammanna jannat ki,
Aey dost teri dosti se woh pyaar mila humko.

Aaj phir yaad Teri Aayi hai,
Aaj phir Raat kat naa paayegi,
Aaj phir Nain mere barsenge,
Aaj phir Neend rooth jaayegi,
Aaj phir Dil tujhe pukaarega,
Aaj phir Aas Toot jaayegi….

Related Posts with Thumbnails