Sun 1 Nov 2009
Ae Naye Saal Bata Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay Kiun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsoos, Na Badli Hai Zameen
Aik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Aglay Barson Ki Tarah Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi Barah Mahinay Teray
Junuary, February Or March Mein Paray Sardee
Or April, May, June Mein Hogee Garmee
Tera Mun Dehar Mein Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar Karkay Chala Jaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay Dekhay Hain Naye Saal Kayi
Be-Sabab Daitay Hain Kiun Log Mubarakbadain
Ghaliban Bhool Gaye Waqt Ki Karwi Yaadain
Teri Aamad Say Ghati Umer, Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh Nazam Niralay Dhab Ki…


November 1st, 2009 at 9:12 PM
Dosti wo anmol rista hai,Jo bade yatno se khoji jati hai
Prem, mukut, komal dhage me piro kar moti,
Haar gale ka ban jati hai.
Koshish kijiye hame yaad karane ki,
Lamhe to apane aap hi mil jayenge,
Tamanna kijiye ham se milane ki,
Bahane to apane aap hi mil jayenge.
November 1st, 2009 at 9:13 PM
Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiay hua
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi
November 1st, 2009 at 9:15 PM
Tumhe Tumhari Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon
Apne Naam K Saath Joar Kar Tumhara Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon
Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Tumhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon
Ho Jaao Tum Meri Aur Main Tumhara
Harr Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon
November 4th, 2009 at 8:46 AM
Zindgi ek raat hai,
Jis mein na jane kitne khawab hai.
Jo mil gaya wo apna hai,
Jo tut gaya wo sapna hai.
Ye mat socho ki jindagi mein kitne pal hai,
Ye socho ki har pal mein kitni jindagi hai**