Tue 4 May 2010
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya……
main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya……
tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya…..
pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya…..
aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya….
ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya….
main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya….
tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya…..!!
Azeez


May 5th, 2010 at 12:32 PM
Very very nice Shayari
May 6th, 2010 at 7:07 AM
wah, such a wonderful shayari, plz post some more sad one,many thanks
May 27th, 2010 at 4:30 PM
samandar toh vahi tha bas shail badal gaiye,
katal hua hamara kiston main,
kabhi khanjar badle to kabhi katil badal gaiye.
bad boy
May 29th, 2010 at 4:21 PM
HI
Dears.
Can any one now about the name of the movie.
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya……
Pls provide us
June 24th, 2010 at 6:51 PM
yar bhot a66i he aapki shayri……….. hum to aapk fen ban gaye………..
June 27th, 2010 at 6:36 PM
khuda khus rakhe dil me dard banakar ane vale ko,
jamane bhar ki rahat de muje tadpane vale ko ,
kabhi kabhi muje kuchh unape itabar bhi tha ,
muje karar bhi tha or me bekarar bhi tha ,
e hazari me janaja bana gava rahena,
me lahej me bhi tha unaka intzar bhi tha
June 29th, 2010 at 12:06 PM
Kabhi Kisi Se Pyaar Mat Karna
Ho Jaaye To Inkaar Mat Karna
Nibha Sako To Chalna Uski Raah Par
Varna Kisi Ki Zindagi Barbaad Mat Karna…