Romantic Shayari


Romantic Shayari

Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein…

Romantic Shayari

Phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi toh pyaar javaan hota hai,
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai.

Masoom hote hai jo mahobbat se anjan hote hai….
pal do pal mahobbat wale aksar be-iman hote hai…
jo najro se kuch keh jaye wo  mahobbat ke salaam hote hai….
jinki mahobbat masoom ho wo sachi mahobbat ke  insaan hote hai…….

Romantic Shayari

Teri aankhon se kaash koi ishara to hota
Kuchh hi sahi ik jeene ka sahara to hota
Tod dete duniya ki hadon ko ham
Ik baar toone mohabbat se pukara to hota…

Bin tumhare zindagi jiya to kya jiya….
tumhari in surmayi aankhon ka zaher piya nahi to kya kiya…..
kar di poori zindagi meri ab tumhare havale….
kar liya hai faisala humne jab jina hai sirf ek hi baar….

Romantic Shayari

Taras gaye hain mere nayan tumhari ek nazar pane ke liye
Pyase hoonth mere bekarar hai tumhare ek naram ahsas ke liye
tumhara har ek sparsh kabhi bhula nahi saka hoon mein
khade ho jate hain ronkte abhi bhi sirf tumhari yaad mein
kaun hai tu batalade zara mujhe, pari ho ya koi apsara
jo koi bhi ho tum, chen nahi aata hai mujhe ab tumhare bina…

~Sandeep Sharma (To my beloved fiancee Sushma)

Romantic Shayari

Ek Umer ke Baad Us ko Dekha
Aankhon Main Sawaal Thay Hazaron

Honton pe Magar Wohi Tabbassum
Chehrey pe Likhi hui Udasi

Awaaz Main Goonjti Judai
Main Kaise Shajar Se Katee Raah Tha

Woh Ponch Raha Tha Aansoo Merey
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…

Next Page »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.